उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
Usoolon pe jahan aanch aaye takrana zaroori hai Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai Nayi umron ki khud_mukhtaariyon ko kaun samjhaye Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai Thake haare parinde jab basere ke liye laute Saliqaamand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai Bahut bebaak aankhon mein ta’alluq tikk nahi paata Muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai Saliqa hi nahi shaayad use mahsuus karne ka Jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai Mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai |
उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है बहुत बेबाक आँखों में त’अल्लुक़ टिक नहीं पाता मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है |